Momin’s famous Urdu ghazal: Tum mere paas hote ho goya…

Read Momin Khan Momin’s famous ghazal. It is posted here in Roman, Devanagari and Persian scripts:

असर उसको ज़रा नहीं होता
रंज राह्तफ़ज़ा नहीं होता

तुम हमारे किसी तरह न हुए
वरना दुनिया में क्या नहीं होता

नारसाई से दम रुके तो रुके
मैं किसी से ख़फ़ा नहीं होता

तुम मेरे पास होते हो गोया
जब कोई दूसरा नहीं होता

हाल-ए-दिल यार को लिखूं क्यूं कर
हाथ दिल से जुदा नहीं होता

दामन उसका जो है दराज़ तो हो
दस्ते आशिक़ रसा नहीं होता

किसको है ज़ौक़-ए-तल्ख़्कामी लैक
जंग बिन कुछ मज़ा नहीं होता

चारा-ए-दिल सिवाए सब्र नहीं
सो तुम्हारे सिवा नहीं होता

क्यों सुने अर्ज़-ए-मुज़्तर ऐ मोमिन
सनम आख़िर ख़ुदा नहीं होता

मोमिन ख़ां मोमिन

asar usko zaraa nahiiN hotaa/ranj raahat-fazaa nahiiN hotaa

tum hamaare kisii taraH na hu’e/varnaa duniaa meN kyaa nahiiN hotaa

narsaa’ii se dam ruke to ruke/maiN kisii se Khafaa nahiiN hotaa

tum mere paas hote ho goyaa jab ko’ii doosraa nahiiN hotaa

haal-e-dil yaar ko likhuuN kyuuN kar/haath dil se judaa nahiiN hotaa

daaman uskaa jo hai daraaz to ho/dast-e-aashiq rasaa nahiiN hotaa

kisko hai zauq-e-talKh-kalaami laik/jang bin kuchh mazaa nahiiN hotaa

chaara-e-dil sivaa’e sabr nahiiN/so tumhaare sivaa nahiiN hotaa

kyuuN sune arz-e-muztar a’e-momin/sanam aaKhir Khudaa nahiiN hotaa

31 Responses

  1. plekaj
    jgl;fdgop
    jglmnbvl/ytg

  2. Is there an translation of this in English?

  3. TUM MERE PAAS HOTE HO GOYA
    JAB KOI DUSRA NAHIN HOTA

    [TAKHAYUL KA CHAMATKAR HAI YE SHER….!]

  4. wah ustad har shayar sher nahi bolta
    aur har bolne wala shayar nahihota

    allah hafis 9342677278

  5. I need the explanation of this poen in urdu if anybody help me regarding this.

  6. harfon ka lehza lekar dil mein utar rahe ho
    itni umar ke baad bhi tum pur asar rahe ho

  7. dil kee kahee dil hee samjhe.
    ghazal kabhi koi kaise explain kare?

    -for sasha glad to see her/his desire for explaination though!

    These like many others are the immortal lines
    which renews ones mind on every touch. kaash us mehfil mein hota jab shayar ne kahi thi. wah!

  8. Taqdeer ki ankhon mei wo khaasa ban gaye
    Jidhar gaye udhar tamasha ban gaye….

    its my poetry= mohsindayam@yahoo.com

  9. mein ne suna hai ke ghalib ne is ghazal ke 4th sher ke bare mein kaha tha ke momin yeh sher un ko de dein r is ke badle un ka pura dewan le lein

  10. ab raat ka intezaar kaun kare……… yahan din me kiya nahi hota……..

  11. jee aapne sahi suna he kuch log kehte hen ke ghalib ne aisa kuch kaha tha…. agar aisa kaha tha to ghalib saab ne apni umr ke 60ven saal me kaha hoga

  12. i think this is the greatest gazal so far written in urdu.perhaps i have read some where that Galib liked it so much that he wanted to barter his entire dewan for this gazal. keep it up.u are doing great service to lovers of urdu.fee aman allha

  13. Haale-dil yaar ko likhu kyu-kar, hath dil se zuda nahin hota.

    This Couplet great and very deep.

  14. Iqbal bara apdeshak hai man baaton mein moh leta
    hai
    Gufftaar ka Ye Ghazi To Bana Kirdar Ka Ghazi Ban na Saka

  15. Es shayar ki talash hai mujhko,,eske har lafz pe naaz hai mujhko….wah kya khub hai ye ghazal aapki momin shahab!

  16. uf is ghazal ki to kab se talash thi, aisay shahkar bar bar nahi sunne ko milte ghalib aisay hi to fida nahi the is per.
    TUM MERE PASS HOTE HO GOYA
    JAB KOI DOSRA NAHI HOTA>
    itne meanings me istamal hoa he ye goya.

  17. Great ghazal.

  18. wt a great poet….!

  19. chalke kaabe me sijda kar aye momin;
    chor is but ke aastaney ko

  20. faiz ahmad faiz ki adabi khidmat dunyae adb k liye mshale rah

  21. momin ki ye nayab gazhl rhti dunya tk yad rkhi jae gi

  22. Behtarin…

  23. […] Tum mere paas hote ho goya, koi doosra nahin hota. Legend has it that Ghalib was so entranced by this verse that he offered to exchange his entire corpus—the Diwan-e-Ghalib—in return for […]

  24. I have been reading and listening to “tum mere paas hote ho…………”
    For the last 50 years….. However, even now when I listen or read, it makes my heart shiver… Mimin Saab, regardless of his habit of drinking in excess but, it was only then that he impressed his audience beyond belief…….. Pb

  25. […] Momin’s famous Urdu ghazal: Tum mere paas hote ho goya… […]

  26. very nice poetry

Leave a comment