Yeh sharmili nazar kah de to kuchh gustakhiyan kar loon: Akhtar Sheerani

Akhtar Shirani

tamannaaoN ko zindaa aarzuoN ko jawaaN kar luuN
yeh sharmiili nazar kah de to kuchh gustaakhiyaaN kar luuN

bahaar aaii hai, bulbul dard-e-dil kahtii hai phuuloN se
kaho to maiN bhii apnaa dard-e-dil tumse bayaaN kar luuN

hazaaroN shoKh armaaN chutkiyaaN le rahe haiN dil meN
hayaa unkii ijaazat de to kuchh be-baakiyaaN kar luuN

koii suurat to ho duniaa-e-faani meN bahalne kii
Thahar jaa aye jawaani maatam-e-umr-e-ravaaN kar luuN

mujhe donoN jahaaN meN ek voh mil jaayenge gar Akhtar
to apnii hasratoN ko be-nayaaz-e-do-jahaan kar luuN

Akhtar Sheerani

4 Responses

  1. kooollllllllllll keep it up

  2. Marhoom Akhter Shirani Sahab ke bare mein jitna kaha jaye kam hai. he was hardly for 43 years in this world, but got great achievement in Urdu Adab. According to Mr. Bashir Ahmed Ansari, ex-President Deccan Muslim Institute, Poona,India, 100 years, after the death of Marhoom Nazir Akbarabadi, Akhter Sahab has written sonets in Urdu and which are all time best. Mr. Ansari also told that Late Akhter Sahab has praise the woman in real form and wording are the best so far.( Sahi mayne mein aurat ko aurat samja hai)

    My father, Justice Mohammed Rafique, Chief Judge of Tonk State, and Akhter Shirani were very good friends. He used to stay in the backyard of our Haveli at Mohallah Rajban’s Khan Bahadur Mohammed Moula Buksh Street, in Tonk Riyasat.

    I would be grateful if you could kindly forward me the Charbaits written by Janab Akhter Shirani Sahab.

    My alternate mail ID is:
    tonkindia@yahoo.co.in

  3. Bohat Khoob

  4. last sher faboulous

Leave a comment