Paas raho
———
mere qaatil, mere dildaar mere paas raho
jis ghaRi raat chale
aasmaanoN ka lahuu pii kar siyaah raat chale
marham-e-mushk liye nashtar-e-almaas chale
bain kartii hu’ii hanstii hu’ii gaatii nikle
dard ka kaasnii paazeb bajaatii nikle
jis ghaRi siinoN meN Duubte hu’e dil
aastiinoN meN nihaaN haathoN kii raah takne lageN
aas liye
aur bachchoN ke bilakhne kii tarah qulqul-e-mai
bahar-e-naa-aasuudgii machle to manaaye na mane
jab koii baat banaaye na bane
jab na koii baat chale
jis ghaRi raat chale
jis ghaRi maatami sunsaan siyaah raat chale
paas raho
mere qaatil mere dildaar mere paas raho
(Faiz Ahmed Faiz)
Filed under: Hindi, Modern, Nazm, Popular, Urdu Poetry

Thanks a lot for Faiz’s work. I have been searching for them all over the net and collecting.
Swati Sani
बराए मेहरबानी ठीक करें- ‘आज शहर में पाबजौलां चलो’ नहीं “आज बाज़ार में”
Kyun mohobat ko log Khuda ka darja dete hai Rahim,
Humne aaj tak nahin suna ke Khuda ne bewaffai ki ho…
kyun?
Faiz bas achchey shayer they, unko to bilawajah punjabiyo ne sar pe bitha diya ,
hamza seheb ap jo bhi ho aik baat baat yaad rakhiye ga ke itne azeem insano ki azmat tasleem karna seekhe. waise zahniat se aap kafi tang nazar aur ghatia aadmi lagte hai
Agree with Gul Khan
bass achay nae…khasay achay shair thay URDU ani chaye i think smjhnay k lye
Mian
Jo baat aap ne shuru mein hi tasleem kar li ki Faiz achchhe shair they, to baaki raha kya. Aadmi ya insaan kaisa hai, hum apne girehbaan mein pehle jhaank lein to behtar hoga.
faiz ahmad faiz i love so much your shyri,,,,,,,,,,,,,,
very nice ji…. very nice… good work
nice gazal…………
v.nice novel but so sad
the faiz was the best shayer……..i love his shayeri
mujh se pehli si mohabbat mere mehboob na maang ………… agar poora post kar sakin to badi meherbani hogi, aap jo bhi hon ,accha kaam kar rahe hain
Faiz ahemad waqai me achhe shayar the .